CHAPTER - 02
فریب کر - FARAIB KAR -
______________________________
𝙰𝚞𝚛 𝙸𝚋𝚕𝚎𝚎𝚜 𝚔𝚊 𝚜𝚊𝚊𝚝𝚑𝚒 𝙼𝚊𝚖𝚘𝚘𝚗 𝚋𝚑𝚒 𝚝𝚑𝚊. 𝙹𝚊𝚗𝚗𝚊𝚝 𝚜𝚎 𝚗𝚒𝚔𝚊𝚊𝚕𝚎 𝚓𝚊𝚗𝚎 𝚠𝚊𝚕𝚒 𝚊𝚒𝚔 𝚔𝚊𝚖𝚝𝚊𝚛 𝚛𝚘𝚘𝚑 𝙺𝚎 𝚠𝚊𝚑𝚊𝚗 𝚋𝚑𝚒 𝚞𝚜𝚔𝚒 𝚗𝚒𝚐𝚊𝚑 𝚊𝚞𝚛 𝚜𝚘𝚌𝚑 𝚗𝚎𝚎𝚌𝚑𝚎 𝚓𝚑𝚞𝚔𝚒 𝚛𝚎𝚑𝚝𝚒 𝚊𝚞𝚛 𝚣𝚢𝚊𝚍𝚊 𝚜𝚊𝚛𝚊𝚑𝚊𝚝𝚒 𝚜𝚘𝚗𝚎 𝚔𝚒 𝚋𝚊𝚗𝚒 𝙹𝚊𝚗𝚗𝚊𝚝 𝚔𝚒 𝚛𝚊𝚠𝚒𝚜𝚑 𝚔𝚘. 𝚈𝚎𝚑 𝚖𝚊𝚗𝚣𝚊𝚛 𝚞𝚜𝚊𝚢 𝚔𝚒𝚜𝚒 𝚋𝚑𝚒 𝚍𝚘𝚘𝚜𝚛𝚎 𝚜𝚎 𝚣𝚢𝚊𝚍𝚊 𝚖𝚊𝚣𝚊 𝚍𝚎𝚝𝚊 𝚑𝚊𝚒. 𝚄𝚜𝚒 𝚗𝚎 𝚜𝚒𝚔𝚑𝚊𝚊𝚢𝚊 𝚋𝚊𝚗𝚒 𝚗𝚘𝚘𝚑 𝚒𝚗𝚜𝚊𝚗 𝚔𝚘 𝙰𝚙𝚗𝚎 𝚗𝚊𝚙𝚊𝚊𝚔 𝚑𝚊𝚊𝚝𝚑𝚘 𝚜𝚎 𝚍𝚑𝚊𝚛𝚝𝚒 𝚖𝚊𝚊 𝚔𝚎 𝚋𝚊𝚝𝚊𝚗 𝚔𝚘 𝚔𝚑𝚘𝚍 𝚔𝚊𝚛 𝚕𝚘𝚘𝚝𝚗𝚊 𝚄𝚗 𝚔𝚑𝚊𝚣𝚊𝚗𝚘 𝚔𝚘 𝚓𝚘 𝚌𝚑𝚑𝚞𝚙𝚎 𝚋𝚎𝚑𝚝𝚊𝚛 𝚝𝚑𝚊𝚢. 𝙹𝚊𝚕𝚍 𝚑𝚒 𝚞𝚜𝚔𝚒 𝚏𝚊𝚞𝚓 𝚗𝚎 𝙹𝚊𝚑𝚊𝚗𝚗𝚞𝚖 𝚔𝚒 𝚙𝚊𝚑𝚊𝚍𝚒 𝚖𝚎𝚒𝚗 𝚍𝚊𝚊𝚕𝚊 𝚊𝚒𝚔 𝚠𝚊𝚜𝚎𝚎 𝚌𝚑𝚎𝚍. 𝙰𝚞𝚛 𝚔𝚑𝚘𝚍 𝚍𝚊𝚕𝚎 𝚜𝚘𝚗𝚎 𝚔𝚒 𝚙𝚊𝚜𝚕𝚒𝚢𝚊 𝙽𝚊 𝚑𝚘 𝚔𝚘𝚒 𝚑𝚎𝚛𝚊𝚊𝚗 𝚒𝚜 𝚋𝚊𝚊𝚝 𝚙𝚎 𝚔𝚎 𝚜𝚘𝚗𝚊 𝚞𝚐𝚝𝚊 𝚑𝚊𝚒 𝚊𝚗𝚍𝚑𝚎𝚛 𝙹𝚊𝚑𝚊𝚗𝚗𝚞𝚖 𝚖𝚎𝚒𝚗 𝙺𝚎 𝚜𝚑𝚊𝚢𝚊𝚍 𝚖𝚊𝚝𝚝𝚒 𝚑𝚒 𝚚𝚊𝚋𝚒𝚕 𝚑𝚊𝚒, 𝚒𝚜 𝚚𝚎𝚎𝚖𝚝𝚒 𝚋𝚊𝚕𝚊 𝚔𝚎.
≿━━━━༺❀༻━━━━≾
حسن و عشق کا سوز تعلق سمتوں کا پابند نہیں اکثر تو خود شمع کا شعلہ بڑھ کے گیا پر وانے تک
Husn-o-ishq ka soz talluq simto ka paband nahi, aksar to khud shama ka shola barh ke gaya parwane tak.
∘❀∘
Hashim Kardar ki beti Sonia ki siyah sunehari salgirah aaj yani hafte ki shaam ko thi. Shayad isi liye hafte ki subah bhi chamkili sunhari tulu hui thi. Zulfiqar Yousuf ke ghar mein nashta ka dhuwa nudarat ki daat bhari takeedi Haneen ki bhagum bhag tayyari sab ek saath chal raha tha. Saadi aaj bhi subah savere restaurant chala gaya tha.
Sam ab uniform mein tayyar gol mez ke gird Meena nashta kar raha tha. Haneen apne siyah coat shoes polish karke jab aayi to toast ki plate ko dekha to munh ban gaya.
"Amii, main ne nahi khana! Dhakkan toast. Yeh mota aaloo mere liye bread ka pehla aur aakhri toast hi bachata hai hamesha," woh maathe ke balo par brush pherti wahi se chillai. Kitchen se nudarat ka dabta hua jawab foran aaya.
"Hazaar dafa kaha hai, ki khane ki cheezo ke naam mat rakha karo!"
Usne Munh bad badaate hue sam ka aadha paratha tod liya Khilaf e mamool, sam ne koi rad-e-amal zahir na kiya. Chup chaap khata raha.
Woh Nashta kar ke uthi thi ke sa ne pukara.
"HANNAH?!"
"Hannah!" Usne ghoor kar usay dekha. "Tareekh gawah hai ke tum ne mujhe baghair kaam ke Hana kabhi nahi kaha."
"Aaj ka lunch meri taraf se hai," haath jhadate usne sanjeedgi se ittla di.
Haneen ne bag kandhe pe dala file uthai aur istejhaya Andaaz mein sar jhataka, "Mujhe guess karne do ke kya mangwaya hoga tum ne. Haan, honge samose, saath mein charga aur aaloo ke chips. Aur jaise in sab ashya' pe laanat bhej kar woh darwaze ki taraf badhi jaha ven wala horn Diya ja raha tha.
"Spring rolls, pahadi kabab aur backed kiye huye aalu." Sam ne Aqab mein bade sukoon se kaha. Haneen ke qadam zanjeer hue, aankhein be yakeeni se phaili.
Yakdam mudi. Kohni se daboach kar usay samne khada kiya.
"Phir saath mein hogi pudine ki chatni?" Aur mashkook nazro se ghoora.
"Um hmm! Tumhari favourite mayonnaise wali sauce !" Haneen ke lab bharpoor muskurahat mein phail gaye. Aankhon mein shararat chamki. Bazu chhoda aur chalne ka ishara kiya.
"Ab kaam batao"
"Raat Hashim bhai ki beti ki salgirah mein maine bhi jaana hai," aur dono saath chalte bahar aaye to bagicha cross karte hue sam ne kaha.
"Saai bhai ne kaha tha ke Ami nahi jarahi hain to main ghar mein rahoon."
"Hmmm, tumhare paas black coat hota hai?"
"Haan, wahi jo bhai birthday par diya tha."
"To phir us ko dhoop lagwa lo, hawa lagwalo aur istri karwalo," woh gate band karke van ki taraf badhte hue bade sukoon se boli. Sam ne khushgawar bechaini se usay dekha.
"Magar tum bhai ko kaise manao gi katto, sorry Hannah."
"Sam yousuf ,ye jo aaj tum mujhe apni pocket money jhonk rahe hona ye is liye hai ke tumhe pata hai is kaam ke liye sahi bandi me hi hoon, isliye apne suit ki fiqr karo," keh kar voh van me chadh gai.
Under affair khatija buri tarah revision karne mein magan thi. Jabke Naima kitaab kholay kuch likh rahi thi. Aaj unka aakhri paper tha.
"Kaisi tayyari hai?" Us ne imtehaan ki subah ka maqsoos sawal dohraya.
"Yaar kuch nahi aata samkho aab mix up ho gaya. Rafiya ne Harasa nafi mein sar hilate hue makhsoos jawab diya.
Haneen ne apni file kholi aur sarsari nigah daudane lagi. Phir kisi ehsaas ke tehat Naima ko dekha woh tissue paper pe kacchi pencil se likhi jaa rahi thi. Naqal ke yeh tareeqe un ko jaane soojhte kahan se the.
"Agar pakdi gayi to?" Haneen ne kareeb ho kar sargoshi ki. Us ne ghoor kar usay dekha.
"To garmi garmi karte isse paseena ponchh lugi. Saare saboot khatam," usne shane uchka diye to Haneen sar jhatak kar apna parhne lagi. Sam khidki se bahar dekha, apne suit aur un dosto ke baare mein soch raha tha jin ko usne Somwaar ki party ki tafseelat deni thi. Zehan mein wo fiqre tarteeb de raha tha.
"Pata hai hamare ek uncle hai.. um hmm... cousin hai, Hashim bhai! unka ghar pata hai kaisa hai." Sam ko ye soch kar hi maza aa raha tha ke kitne maze se apne dosto ko saari baatein batayega.
☆☆☆
تو نے کیا کیا اے زندگی! دشت و در میں پھرایا مجھے۔ اب تو اپنے در و بام بھی جانتے ہیں پرایا مجھے۔
"Tune kya kiya A zindagi! dasht-o-dar mein phiraya mujhe. Ab to apne dar-o-baam bhi jaante hain paraya mujhe."
∘❀∘
Kardar khandan ke qasr ke sabz e zaar mein mulazimo ka amla aur fazil waiters party ki tayyari mein masroof the. Andar lounge mein saaf suthrai ka amal jari tha. Shehrin mutawazan qadmo se zeene charhti upar ja rahi thi.
Hashim ka kamra sunsan pada tha. Wo aage badhi. Nosherwan ke kamre ka daakhili darwaza khula tha aur usay balcony ka bhi. Woh balcony mein baitha tha. Laptop god mein, kaano mein earphones, Shehrin mein khadi rahi yahan tak ke Nosherwan ne chonk kar us taraf dekha to woh sar jhatak kar jane lagi,
"Aap kab aaye? Aayiye." Sheru jaldi se earphones nikalte hue utha. Uska chehra khil utha tha. Us roz ki nisbat wo aaj darust huliye me tha. Woh use pasand karta tha, koi andha bhi bata sakta tha. Aur Shehrin andhi nahi thi. Albata usay maloom tha ke woh kehne ki himmat nahi rakhta.
Shehrin ne pareshani mein nafi mein sar hilaaya. "Nahi tum baitho?"
"Hashim hai?" Usne Nosherwan ke bhai ka naam liya. Wohi bhai jis ke dar ke baees sheru kabhi nahi keh sakega.
"Bhai ka off tha, magar woh shayad Shela aunty ke case ke liye kahi gaye hain. Unke driver ne accident kar diya tha kisi ka"
Woh muntazir khada tha. Shehrin ki aankho mein mayoosi ujri.
"Khair, agar woh hota bhi to mera kaam nahi hona tha. It's okay jaane do," woh keh kar palatne lagi.
"Kya kaam? Mujhe bataiye." Wo kadam kadam uthata us tak aaya.
"Chhorho, tum se nahi hoga."
"Well, agar aap ne apne kaam ka zikr mujh se kiya hai to yakeenan aap ko lagta hoga ke main kar sakta hoon." Woh itna bewakuf bhi nahi tha. Shehrin thake andaaz mein muskarayi.
"Sonia, wahi asal masla. Usko meri aur Hashim ki pictures chahiye honeymoon ki."
"To aap ke paas nahi hai?" Nosherwan ko andar se shayad khushi hui.
"Main taklif dey yaado ko sambhal kar nahi rakhti," usne sunehre balo mein haath pher kar unko peeche karte hue kaha. Woh dono hanooz chokhat par khade the.
"Shaadi ki to mere paas bhi hongi. Magar Honeymoon wali Hashim ke laptop mein hongi aur main tumhare bhai ke munh nahi lagna chahti." Usne bohot hi laparwahi se laptop ka zikr kiya.
"No problem, main copy kar deta hoon. Bhai office nahi gaye to unka laptop ghar par rakh ke gaye honge." Woh chalte huye kamre me aaya. Battiya on ki.
"Jaldi karna, main is kamre mein zyada der rukna nahi chahti." Usne flash drive badhate hue kaha. Nosherwan ne dar se pakadte hue nazar bhar kar uske chehre ko dekha.
"Mein samajh sakta hai." Woh jawaban zakhmi sa muskurayi.
Nosherwan ne Hashim ki study se laptop uthaya aur on kiya. Woh uske saath khadi ho kar dekhne lagi. Sath hi lab kat rahi thi. Aur ungliyan nervously marod rahi thi.
"Oh password, ab yeh kya hai?" Sab kuch theek hote huye jab password manga gaya to Nosherwan karha kar reh gaya. Shehrin ke mathe par bal padhe.
"Main ne kaha tha na tum se nahi hoga. Jane do." Woh mudne lagi.
"Ek minute there to," usne mobile nikal kar Hashim ko call milayi.
"Mera naam lena taki wo bilkul bhi apna password na de." Wo talkhi se boli, Nosherwan ne khamosh rehne ka ishara kiya. Wo bahut samjhdar Nazar aane ki shayri Kar raha tha.
"Haan Sheru? Bolo" wo mashroof tha.
"Bhai yaar, aap ke laptop ka password kya hai?"
"Kyun? Kya hua?" Apni tamamtar mashroofiyat ke bawajud wo chonka tha.
"Kuch pictures chahiye thi Sonia ke liye,"
"Konsi pictures?" Wo Hashim tha khatak gaya.
"Bhai de rahe ho ya main kuch aur karu?" Uska mood bigdne laga.
"Hmm achha" usne sar hila kar phone band kiya. Aur muskura kar keyboard ke button dabaye.
Uske kandhe se jhakti shehrin ne usko hifz kiya goke uski jarurat na thi phir laparwahi se idhar udhar dekhne lagi. Ye lafz to usko asbar tha aankhe band karke bhi type kar sakti thi.
"Aap batati jaiye kon konsi pictures chahiye?"
Unki honeymoon, shadi aur digar muwakit ki taseever khulti jaa rahi thi. Maksad pura hone ke bad shehrin ko jaane ki jaldi thi. Aur woh dekh kar seene me kuch chubhne laga tha.
"Yeh wali, aur ye teeno" woh ungli se screen par ishara karti batane lagi. Nosherwan ne copy karte huye uske chehre ko dekha. Wo zabt karti Nazar aa rahi thi. Usne afsos, hamdardi, tarham, sab mehsoos kiya tha siwaye faraib ki boo ke.
☆☆☆
-ہم گھوم پھر کے کو چہ قاتل سے آئے ہیں..
Hum ghoom phir ke koocha-e-qatil se aaye hain.
∘❀∘
Kamra - E - Imtihan Mein mamul ka sannata chhaya tha, do muntahin khwatin kursiyo ki kataro ke bich tahel rahi thi. Ladkiya sar jhukaye dhara dhar likhe jaa rahi thi.
haneen ne dafatan dard karti ungliyon ko sehlate huye sar uthaya. Apni gardan ko relax karte hue dayi taraf dekha.
Kamre Ki Ek Deewar Khidki Se dhaki thi Aur Samne Sadak Aur banglo Ki Katar Nazar a rahi thi Jis law college ko Unka imtihani markaz Banaya Gaya Tha voh darasal Ek Bara Sa Bangla tha aur ye Kamra yakeenan dining ke Taur per istemal ke liye banaya gaya hoga Usne Socha.
Niche lawn tha aur wahan se un adher Umar Vakeel Sahab Ki car Nikalti dikhai de rahi thi Jo High Court ke Vakeel they aur us Law College Ke Malik the aur Har paper mein bar bar imtihani kamro ka Chakkar lagakar apni kharab angrezi Mein Ladkiyon ko nakal karne ke natayaj se darane ki koshish Karte The Shukar hai ke ab voh Kahin ja rahe the aur agale Dedh ghante Sar per Sawar Nahin Honge.
Usne Muskurahat daba kar Socha aur dobara Apne paper per Jhuk gai.
"Shhh" Naima ne piche se usay toka Diya.
Haneen ne jhunjhula kar apni teacher ko dekha jinki Unki taraf pusht thi aur phir Piche mudi "Kya hai?"
"Rafiah ko do"
Naima ne usy ek tissue diya. Haneen Ne jaldi se tissue Pakra Jaise koi Jalta Hua Angara Ho or Rafiah ki Kamar per pen Chhupa kar usay Mutawajja kiya
Teacher Chalti Hui Aage ja rahi thi line khatam kar ke hi woh Mudti aur uske pahle hi usne Rafiah ko woh tissue dena tha.
Magar Rafiah ya toh dar gayi thi ya usay samjhne me ghalti huyi, ya mumtahin khatoon galat waqt par mudi. Usay tohkka dete huye tissue pakdati haneen ke hath se tissue gira. Wo foran paper par jhuki. Uski ghabrahat ne sabko wajeha kar diya. Mumtahina khatoon (invigilator) tez tez kadam se us taraf aayi jhuk kar tissue uthaya, usay khola. haneen ne sar jhukaya agla lafz likhne ki koshish ki magar hath nam ho gaye, parcha nam ho gaya siyahi failne lagi.
"Aap nakal istemal kar rahi thi? Kahanse aaya ye aapke paas?"
"Chhore paper" do hatho ne uska parcha khencha to teacher mazeed us taraf aayi. Wo haqqa baqqa si baithi reh gayi.
"Yeh Mera nahi hai ma'am, mujhe nahi pata isme kya hai."
"Jhooth mat bolo. Maine khud tumhe pakde dekha hai."
"Yeh Naima Ne diya tha rafiya ko dene ke leye " usne pichhali aur Agali dono ko ghasita ki woh koi uski acchi dost na thi jinko woh bachati.
"Mera naam Kyun le rahi ho?"
"Mujhe nahi pata ye kya keh rahi hai" dono bilkul la talluk ho gayi.
Kamre Mein Tamasha Lag Gaya Sab Sar Utha Kar dekhne Lage teachers usey Utha rahi thi ki woh apni chize Lekar office mein aa Jaaye uska parcha khatm. Us par case banega aur thana mein report hogi.
"Teen saal tak aap exam nahi de sakengi," unke alfaaz Haneen ki rooh ko kabhi kar rahe the. Zameeno aasman uski nigaho ke samne ghumne lage. Aaj to wese b aakhiri parcha tha ye ekdam se galat hone lag gaya tha. Kuch ladkiya wapas likhne me mashroof ho gayi. Kuch usay cheeze samet te dekh rahi thi.
"Ma'am yeh Mera nahin hai mujhe nahi Pata tha ismein kya likha hai" Woh khushk halak ke sath keh rahi thi.
Kisi ne use tissue pass Karte nahi dekha tha superintendent ne tissue uske pass dekha tha aur agali pichhali unhe dum Kati lomdi Ka shikar lag rahi thi. sirf use uthaya Gaya. woh minnat Karti rahi gusse se bhi Bolti magar kisi ne uski nahin suni.
Madam usay do kamro se guzar kar aik office numa kamre me le aaye. Usay kursi par bitha diya gaya. Paper bag tale rakh diya. Aur aik dusri teacher ko university ke inspection team ko call karne ke liye kaha gaya. Muqdme ka parcha unhe hi aakar banwana tha. Team shehar ke kisi dusre imtehani markaz ke doure pe thi. Unko aane me kuch waqt lagna tha.
Ghaadi ki tik tik haneen ke asab par hathore barsa rahi thi. Wo safed chehra liye hawas bakhta pareshan si baithi thi. Magar khamosh nahi thi. Wo baar-baar ehtehjaaz kar rahi thi. "Ma'am maine kuch nahi kiya, wo pichhli ladki ka tha."
"Agar aapne aik lafz mazeed bola to me us pe abhi surkh kata fer dugi." Unhone ghusse se jhidka. Uske aankho me aansu aa gaye. Usne sar jhuka liya. Magar wo haar nahi man sakti thi. Wo Saadi yousuf ki behen thi.
"Ugh.. bhai ko kitni sharmindgi hogi is par haneen cheating karti pakdi gayi. Thane me muqadma.." wo laraz kar reh gayi.
"Bhai kabhi is par dobara aitbaar kar sakega kya?"
Superintendant ko aik teacher ne bulwa liya. Aik dusre Kamre Mein Kuchh ladkiyan question paper per likh rahi thi Unki laparwahi Ne unko bhi phansa Diya tha abhi Pichhle paper mein isi Jagah aik puri kataar Jo question paper per point Likh Rahi Thi aur isi katar Mein tahelti teacher dono per parcha kiya tha Inspector ne aur abhi Wahi Jallad sub inspector phir Aane Wala tha.
Supritendent gusse se bahar nikali, haneen kamre me tanha reh gayi. Ghadi ki tik tik har shoo gunjne lagi. maiz pe superintendent ke purse ke sath uska mobile rakha tha. Haneen ne ad khulhe darwaze Ko dekha aur Lamhe bhar Mein Faisla kiya usay "madad" madad pukarna tha. Magar koun aayega uski madad ke liye.
Mobile le kar usne dharakte Dil Se number Milaya , pahle saadi ka phir mita diya "bhai ke samne sharmindagi nahi." phir phupho ka, do hifzo ke bad hi mita diya "kabhi bhi nahi" aur mamu ka to koi number hi Na Tha Fir kise kare?
Waqt ki rait Hatho Se fisalti Ja rahi thi woh tarikh surang Mein Khadi Thi Aur Aise Mein achanak se sunehri rang se likhe 11 hinse jagmagane Lage bina soche samjhe usne number Mila diya Yeh Pahli dafa to nahi tha ki woh aik dusre ko favors de rahe the.
"Hello" hashim ne teesri ghanti par phone Uthaya, Wo gaadi Ki pichli seat per baitha tha aur accident Mein Marne Wali Ladki Ki Family Se Mil kar Wapis a Raha Tha goke number Anjan tha magar Hashim har anjan number uthaya karta tha.
"H-Hashim bhai... Hashim Bhai Main haneen bol rahi hu" Munh per Hath Rakhe wo dabi dabi Si awaaz se bol rahi thi, Khouf zada nazre darwaze par thi.
"Kon haneen?" wo yaad karne laga tha.
Haneen ke as pas andhere bharne lage the nakal karne per Ek parcha imtihani markaz mein mobile ke istemal per dusra parcha.
"Main nudrat Ki Beti, Faris ki bhanji, zumar ki bhatiji or Saadi ki behen"
Hashim Chauka tha.
"haan! Haneen Bolo Beta kya hua?"
Aur uski Aankho Se Aansu Girne Lage.
"H-Hasim bhai unhone Mujhe cheating ke Jurm Mein Pakra Hai parcha Hoga please Kuchh Karen main..."
"Tum.. kidhar ho tum? Mujhe address batao phone kahan se call kar rahi ho? "
Usne jaldi jaldi address bataya tha ki bahar se bolati superintendent ki awaz Kareeb ane lagi thi.
"Superintendant aa Gayi, call back mat kijiyega "
ghabra kar usne phone Rakha darwaza Khula aur superintendent andar aayi.
Haneen ne maathay se paseena saaf kiya. Dono teachers uski taraf mutwajja nahi thi. Usay toh woh kinare laga hi chuki thi. Ab poori paanch ladkiyo ke paper ka mamla aa gaya tha.
"inspection team aayegi to yeh pandora box bhi khulega.." woh log shakt gusse me thi.
Kisi ne bhi mobile ki taraf nahi dekha kyunki unhe khud bhi bina ijazat mobile istemal karne ki permission nahi thi.
Haneen ab behtar mehsoos kar rahi thi. Hashim se baat karke tasalli hui thi. Yeh law college tha, ho sakta hai Hashim in kharaab Angrezi bolne walon ko jaanta ho. Woh unhein phone kar de aur maamla khatam ho jaye. Hashim toh sab ko jaanta hai. Aur sab ko pata tha ke kaam ke waqt sabse pehle Hashim Kardar ko hi pehli call Ki jati hai, usne koi galti nahi ki thi.
Woh ungliya modti khud ko relax kar rahi thi. Ghari ki suiyan aage barh rahi thi. Woh khidki se neeche gate ko dekhne lagi. Yahan se gate saaf dikhai deta tha. "Woh wakeel principal kab aayege, uff?" usne socha.
Kitna waqt guzra, superintendant ki kitni kadhwi kashili suni, kuch pata nahi. Pata tab chala jab usne gate ke paar ek siyah chamkti car rukte dekhi. Pichla darwaza khol kar wo nikla, siyah suit, tie, sunglasses hath mein surkh cover ki file. Glasses utare huye usne gate paar Kiya. Haneen ka saans ruk gaya. Bahut arse baad dekh tha magar wo pehchan gayi thi ki wo Hashim tha.
Hashim khud aya tha! Haneen ke liye! Woh sakit thi. Wo vakeel lag raha tha ya Uska shakhsiyat esi thi ke usay kisi mulazim ne nahi roka. Woh seedha imtihani kamre ka puchh andar aaya,raahdari aboor thi. superintendant ke office ke samne ruka. Uski aankho me ummid aur khawab dono simte the.
"Superintendent aap hai?" Hashim ne sanjeedgi se superintendent ko mukhatib kiya. Dono khawateen puzzle si hokar usay dekhne lagi. "Ji, main hi hoon, Magar yeh imtihani markaz hai. Yahan ghair mutaliqa afraad ka dakhla...." Uski shakhsiyat ke roab me wo dhime lehze me kehne lagi.
"Toh phir inko yahan se bhej dein kyunki mujhe aur aapko tanhai me baat karni hai." Hashim ne kursi khaichi tang par tang jama kar baitha. Aur sanjeedgi se dusri mumtahin ki janib ishara kiya. Superintendant pareshan ho gayi. Magar dusri teacher khud hi jaldi se baahir nikal gayi.
"Haneen beta darwaza band karo." Usne itminaan se dusra huqm sadir kiya.
Superintendant choki. Woh is bacchi ka janne wala tha magar.. haneen ne jaldi se darwaza band kiya. Phir wapis aa kar khadi rahi. Tango se jaan niklne ko thi. Magar baithi nahi. Hashim ne abhi tak uski taraf nahi dekha tha.
"Dekhiye aap is tarah kaise andar aa gaye? Ye koi tareeka e kaar nahin!" Abke unko ghussa chadne laga tha.
"Main Hashim Kardar hoon, Haneen Yousuf ka vakeel aur tareek e kaar, mein abhi aapko samjha deta hoon."
Uske naam ka superintendant par koi asar nahi hua. Wo usay nahi jaanti thi.
"Is bacchi ne nakal ki hai. Ye booti ki nakal! Yeh nakal ki booti" tissue lehraya "hamane abhi iske paas se pakdi hai aur abhi inspector aa kar is par parcha katne lage hai, isliye main aapko koi sifarish sunne nahi wali hoon"
"Jee, yeh nakal ki booti iske paas thi, bilkul thik." Hashim ne asbat mein sar hilaya to haneen ne current kha kar beyakeeni se usay dekha.
"Aur ye booti aapne isay pahunchai thi, madam superintendent!!" Madam ka munh khul gaya. Aankho mein hairat aur ghussa halkodhe lene laga. Magar ab Hashim ne usay bolne ka mouqa nahi dena tha.
"Ye apne hi ne pahuchai hai bilkul usi tarah jaise chand saalo main apne apni 3 rishtedar bacchiyo aur ek dost ki beti ko nakal pahuchai thi. un charo ladkiyon ki bayane halfi nakal ke Amal ka tareeka in imtehani marakij aur sanakhti card ki copy sab is file main moujood hai Or jab main ye file university intezaamiya aur controller imtehanat ko dikhau ga Aur jab wo inme se aik bacchi ke munh se sab sunege kyun ke wo bacchi badme madrasse chali jayegi, aur ab usey apni nakal par kamai gayi shohrat par behad nadamat hai to apka kiya banega? "
Superintendent ka to rang safed para hi haneen alag munh khole hashim ko dekhe ja rahi thi Jo surkh file lehra kar ye sab bol raha tha.
"Ye jhoot hai maine kabhi kisi ko nakal nahi karwai"
"Woh Mera masla nahi hai ye bachhi Mera masla hai ap isay paper wapis de aur iska Jo time... (Ruk kar Haneen ko dekha) "kitna time gaya hai haneen? "
Wo jo Hakka bakka usey dekhe ja rahi thi garbara kar ghaadi dekhi.
"40 minutes"
"Iske Jo 40 minutes zaya hue hai wo isko extra dein or iska paper surkh nishaan ke liya jaye. Aur isay izzat se jane diya Jaye, Kyun ke agar aisa na hua to apki university ke VC ka number mere phone me R ki list main moujood hai" Sath hi mobile screen dikhai.
"Controller Imtihanat ka S ki list main aur IG ka T main hai So mere R,S,T dabane se pehle is bacchi ko iska paper wapis mil Jana chahie"
Who superintendent ki aankho mein dekh kar bahut itminaan se keh raha tha.
"Yeh sab bakwas hai aur ham inspection team ko call kar chuke hain woh aate hi Honge "
Wo bilkul bechain muztarib aur Gusse Mein thi.
"Yeh to Aur Bhi acchi bat hai, main yeh file unhe hi ko pesh kar dunga aur mujhe lagta hai abhi tak aapko in ladkiyo ke bayanaat ki nazakat ki samajh Nahin aay...?"
"Haneen beta yah Lo aur pahla Byan Inko padh kar sunao "
Hashim ne superintendent ko he dekhte hue file Haneen ki taraf barai.
Haneen ko Kuchh samajh Nahin a raha tha usne kap kapate Hue hathon se file Kholi aur pahla safa khola.
"kardar and sons presentation, Hashim Kadar ke points "
wo andho ki tarah safhe ko upar niche dekh rahi thi wo hashim ke office ki koi file thi, Haneen ne khofzada aankhon se hashim ko dekha Kya wo galat file Utha laya tha?
"Padho Haneen.." Abke Hashim ne use Dekhkar Kaha aur phir tircha hokar Khud file Ko dekha.
"Hmm! Pahla case to aapki bahut kareebi Aziz bacchi ka hai aur yeh vakaya bhi isi sector ke college mein pesh Aaya hai" Wo Jaise parte hue bary etmaad se keh raha tha.
Woh galat file Nahin Utha Kar Laya tha Haneen be yakeeni se hashim ko dekh rahi thi Hashim jhoot bol raha tha.
"BAS" superintendent ke sabar ka paymana labres ho gaya tha. Hath uthakar Sakhti se roka.
Hashim Ne file Lekar band kar di paper weight hata kar paper uthaya aur Haneen ko diya.
"Jao jakar paper kar" Haneen ne Madam ko dekha wo zabt se lab Kat-te usay dekh rahi thi, Usi Pal darwaza Khol kar principal Vakeel dakhil Hue Hashim Ne gardan tirchhi kar ke muskura kar unko dekha phir Mila.
Wo Khush gawar hairat se usse Mile.
"Kardar sahab aap yahan kaise? " Woh use Jante the Khair ab to superintendent bhi usey jaan gayi thi.
"Darasal Ye meri cousin Ki Beti hai, khandan me aik buzurg ki death ho gayi thi, mujhe inhe pick karna tha magar ye khabar sun kar pareshan ho gayi aur Aadha Pauna Ghanta zaya ho gaya. Ba-Mushkil paper mukamal karne per Razi kiya hai madam ne aur extra time bhi Dengi Inki meherbani " Kehte Hue usne superintendent ko dekha jinhone ba mushkil asbat Mai sar hilaya.
"Nahi bas thoda sa rah gaya tha main 15-20 minutes Mein Kar Lungi " Haneen paper daboche Khadi ho gayi.
"Ji bilkul aap aaram se Kare " Principal sahab ne garam Joshi se kaha. Phir Hashim ki taraf mutwajjeh hue.
"Aaiye niche office mein chalkar baithte hain Bara aarsa Hua aapse mulakat Nahin hui thi " Principal ne kaha.
Hashim ne sar ko kham diya or ghari ko dekha uska Waqt bohot keemti tha magar phir bhi usne haneen ko kaha.
"Paper de kar Aao main Intezar kar raha "
"Oh madam inspection team pahunchne Wali Hai aapne unko kis Silsile Mein Bulaya tha?" Principal Sahab ne jate jate ek dam puchha.
Haneen ki tangon se jaan nikalne Lagi usne harasa si ho kar Hashim ko dekha jo sard nigaho se superintendent ko dekh raha tha.
"Voh hal number 3 mein ladkiyan question paper per likh rahi thi to.."
"ok ok" principal sar hilate hashim ko Bahar Le Gaye.
Haneen bhi paper Kisi matae Aziz Ki Tarah pakre vahan se nikal gayi, 20 nahi usse 25 minutes Lage jaldi jaldi paper khatm Karke woh shola bar nazro se Khud Ko ghurti supritendent se Nigah milae bagair niche chali Aayi.
Toh Hashim principal ke office jo porch ke sath hi wo bangla hi tha so wo nikal raha Tha, Use Dekh kar khush gawar Sa muskuraya.
"Hashim bhai Thank You So Much " wo kareeb a kar boli to awaz bharra gayi aankhen main pani a gaya.
"Shukriya kis chiz ka Saadi aur tumne Ham per Ek Ahsaan kiya tha isko Usi Ka Badal samajh lo Khair Maine principal se keh diya hai woh is Amal Ko yakeeni banaega Ki Tumhara paper bagair Surkh kante ke seal ho jaye"
"Unko Khabar Nahin Hogi sare mamle ki? "
"Zarur Hogi Magar tab tak Tumhara paper Ja chuka hoga be fiqr raho, maine sab sambhal liya hai." Us ne aitmad se khande uchkae.
"Magar wo file us main to madam ki tafsilat to nahi thi?"
Hashim ne has kar sar jhatka "Mujhe to us aurat ka Naam bhi nahi maloom"
"Magar voh sab aapane kaise kiya? "
"Maine andaza Lagaya kamas kam usne 4 dafa to usne ye kam Kiya Hoga "
"lekin Agar woh Imandar teacher hoti to? "
"Barhal wo Imandar Nahin thi "
"aur Agar voh file dekh Leti?"
"Mujhe Pata Tha woh Nahin dekhegi Apna Amal nama koi bhi nahin dekhna chahta (usne kalai par ghadi dekhi) chalo tumhe ghar chor du"
aur saadi Yousuf ki bahan beikhtiyar do kadam piche hati.
"Nahi van aa gayi Hogi aur Agar aapne chhorha to Sabko pata chal jaega. Hashim bhai please saadi bhai ko mat bataiyega" Wo ek dam khoufzada or sharminda nazar aane lagi thi.
"Kya yeh Kehne Ki Baat Hai? " ulta Hairan hua tha.
Haneen Nam aankhon se Muskura Di.
"Aaj phir party per a rahe ho? Zumar ne RSVP ticket kar ke bhej diya tha?"
"Jee phupho khud card dene aayi thi, ham sab aayege"
"Accha! zumar khud gayi thi good" Hashim muskura diya phir dobara ghari dekhi usko jana tha to mehjab andaaz mein ijazat chahi.
Haneen ki nigahon ne uske car main baithne tak uska takkub kiya uska perfume hanooj uske ird gird faila tha woh Jadugar tha sahir!
Wo mudh gayi abhi use Rafiah or Naima ki bhi khabar Leni thi.
❏❏❏